Wo dekhta hai, yehi soch kar namaz paRhi

Wo dekhta hai, yehi soch kar namaz paRhi
 Hamesha ishq k zer e asar namaz paRhi
MaiN zindagi ko musalsal safar samajhta hooN
 So jab namaz paRhi, mukhtasar namaz paRhi
Samay se qabl, junooN k baghair, ishq kia
 AzaaN suni na wuzu tha, magar namaz paRhi
Qareeb thi koi masjid na paas jaye namaz
 Bicha k saaya, sar e reh guzar, namaz paRhi
Phir us se joR lia rabt jis se toRa tha
 Ghalat paRhi thi so bar e digar namaz paRhi
Suna hai pehlay yahaN aab, dastyaab na tha
 Phir ik faqeer ne aa kar idhar namaz paRhi
NamazioN ko riayat hai taiz barish maiN
 So jab bhi girya kia maiN ne, ghar namaz paRhi
Kahay ga, pehli namazaiN, namazaiN thiN hi nahiN
 Tumharay sath kisi ne agar namaz paRhi
MaiN paanch waqt azaanoN pe sochta hooN usay
 Kabhi qaza na hui, waqt par namaz paRhi
Ik aisi zaat bhi hai jo kabhi nahiN soti
 Ye sun k so na saka, raat bhar namaz paRhi
Umair Najmi

Comments